Noha

Masoom lahu mein dooba hua besheer ka laasha dekh na le
Yeh maut ishi ka kharcha hai, Maa khali jhoola dekh na le
Masoom lahu mein dooba hua besheer ka laasha dekh na le

Haye Abbas zara parda kar leiN, ai maut zara hayal ho ja
Sar khole hue nikli hai Bahen, Shabbir ka laasha dekh na le
Masoom lahu mein dooba hua besheer ka laasha dekh na le

Haye Abbas e Ali ki aamad par aapas mein yeh faujeN kahtiN thiN
Shabbir ka Bhai pyaasa hai, Dariya ka kanara dehk na le
Masoom lahu mein dooba hua besheer ka laasha dekh na le

Haye, Garmaye hue sooraj ki kiran, Aur goad meiN Baba ki Asghar
Yeh Phool Aba ke Saaye mein, Bedard zamana dekh na le
Masoom lahu mein dooba hua besheer ka laasha dekh na le

Haye, Jab qatl hue sooraj dooba, Ghar Aal e Nabi ka luta hai
Aagosh mein Jalte khaimoN ki, Ma nannha sa jhoola dekh na le
Masoom lahu mein dooba hua besheer ka laasha dekh na le

Wa Hussain e Imaam, Noor e Do Ain e Imaam
Mohammad ke Nawase pa Durood o Salaam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *