Noha

Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain
Who tashnalab sada jo raha tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Har har qadam pa kahta hua Ya Ali Madad
Le kar Jawan ki laash chala, Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Zaherra ne apni goad mein badh kar utha liya
Ghode se jab zameen par gira, Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Ahle Haram pa eik qayamat guzar gaye
Maqtal mein jab shaheed hua Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Rota hua Sakeena ko khaime meiN chhod kar
Khanjar ko de raha hai gala Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Lo Karbala mein khaakh ke bistar pa so gaya
Aagosh e Fatima ka pala Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Shimr e laen kalaje pa rakkhe hue churi
Kunbe se ho raha hai juda, Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Qasim ka jisne agdh padha tha abhi abhi
Ab uski laash le ke utha Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab H ussain

Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain
Ghafil kabhi raha nahi naam e Hussain se
Ishrat* ne apne dil pa likha, Tashnalab Hussain
Maqtal Mein Goonjti hai Sada, Tashnalab Hussain
Haaye Hussain, Haaye Hussain, Haaye Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *