Noha

Maqtal mei tha jab chaaroN taraf maut ka pahra, Ashoor ka din tha
Bandhe tha kamar zulm pa jab lashkar e aada, Ashoor ka din tha
Maqtal mei tha jab chaaroN taraf maut ka pahra, Ashoor ka din tha

Jab paani ke izhaar pa padte thay tamachey, aur zulm naye thay
Jab pyaas ki shiddat se tadapti thi Sakeena, Ashoor ka din tha
Maqtal mei tha jab chaaroN taraf maut ka pahra, Ashoor ka din tha

Jab Shah ne sina khaichi thi Akbar ke jigar se, roote thay farishtey
Jab Shah ne madad ke liye Baba ko pukara, Ashoor ka din tha
Maqtal mei tha jab chaaroN taraf maut ka pahra, Ashoor ka din tha

Jab laasha e Qasim pa sitam karte thay sayyad, Maa kartiN thiN Faryaad
Jab balooN ko bikhraye hue baithi hui thi Kubra, Ashoor ka din tha
Maqtal mei tha jab chaaroN taraf maut ka pahra, Ashoor ka din tha

Jab haath kate dasht meiN Abbas e Jari ke, Dariya se na palte
Jab Shah kamar thaam ke farmate thay Bhaiyya, Ashoor ka din tha
Maqtal mei tha jab chaaroN taraf maut ka pahra, Ashoor ka din tha

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *