Noha

Madina lut gaya wo waqt aaya, Ya Rasool Allah….
Pase Sarwar tha yeh Zainab ka Nauha, Ya Rasool Allah

Imam e waqt ko sajde me pyasa qatl kar dala
Musalmano ne aisa zulm dhaya, Ya Rasool Allah

Hua is darja sharminfa meri bali sakina se
Mere Abbas ne dariya basaya, Ya Rasool Allah

Pase Shabbir jab koi nah tha fauj e aada ne
Jalaya khaimo ko asbab luta, Ya Rasool Allah

Janaza waleda ka shab ke parde me utha lekin
Hame beparda ada ne phiraya, Ya Rasool Allah

Akele Sayyad e Sajjad pe lakho mazali: hai
Nahi tha koi jo deta sahara, Ya Rasool Alla h

Udhar Qasim ka laasha ghoodon se pamaal hota tha
Idhar hilta tha Sughra ka kaleja, Ya Rasool Allah

Bula lijiyega apne rauza e akdas pe Ishrat* ko
Pasand aa jaye jo Ishrat* ka nauha, Ya Rasool Allah

Layino ne mazalim aur sitam ki inteha ye hai
Jala dala ali asghar ka jhula, Ya Rasool Allah

Batau kiss zaban se mai mere mazlum bhai ne
Uthaya kis tarha akbar ka laasha, Ya Rasool Allah

Phuphi nana ke rauze par chalo nana ke rauze per
Yahi kehti thi ro ro ar sakina, Ya Rasool Allah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *