Noha

Luti Duniya Ali e Murtuza ki
Shahadat ho gayi hai Saiyyada ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Khadija Khuld meiN nauha -kuna haiN
Duhai de raheN haiN woh Khuda ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Mila Bagh e Fidak ka dil ko sadma
Sitam yeh aur Mohsin ne qaza ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Hai gham mein mubtila Rooh e Payambar
Lahed tharra rahi hai Mustafa ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Mile zakhmoN pa usko zakhm itne
Zaroorat thi bohut jisko dawa ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Tha mayyat par yahi Zainab ka nauha
Saza paaye hai humne kis khata ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Kaha Hasnain ne qabr e Nabi par
Arey Nana meri Maa ne qaza ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Ba waqt e ghusl e mayyat roye Haider
Shikasta pasliyaN thiN ahiliya ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Na le kar jaiyea Madar ko meri
Padar se betiyoN ne ilteja ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Madina ro raha tha khooN ke aasoo
Uthi mayyat jo ghar se Fatima ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Musmalmano na maaro iss pa patthar
Ke mayyat hai yeh bint e Mustafa ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Gham e Zehra meiN girya ho rah hai
Muharram hai safoN meiN Ambiya ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Rasool e Paak ka gulshan hai zad meiN
Sitam ki aag hai aisi bala ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Gham e Sheh par Raza* kyuN kar na royeN
Haqiqat jaante haiN Karbala ki
Luti Duniya Ali e Murtuza ki

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *