Noha

Koi misl e Shah e deen ho to aaye
Zaefee mein jawaan ka daag uthaye

Uthi tareef ko har mauj e darya
Sar e sahil ko yuh Abbas aaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Are logon mera Naushah aaya
Lahu ki haath me mehdi lagaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Kaleja thaam kar chillaye madar
Shah e Deen laash e Qasim jo laye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Kaho baheno se aachal sar par dalen
Koi Naushah ki masnat bichaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Rukh e Qasim se sehre ko hata do
Dulhan aati hai ghoonghat ko hataye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Jo dehki laash Akbar ki to maan ne
Alam se chhod ke chille badhaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Kaha bano ne Asghar tum kahan ho
Yeh madar ab kise jhoola jhoolaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Are besheer ki koi khabar la
Mera baccha lahed me dar na jaaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Arey ai mere ghairatdaar Bhaiyya
Bahen be pardsa bazaarooN mein jaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Chali aandhi Falak se khoon barsa
Shah e Bekas lahu mein jab nahaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Arey yeh kya sitam hai ai laeeno
Bahen bhaye par rone bhi na paaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Ruka beemaar jab thak kar kahin par
Laeen ne pusht par durre lagaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Samajh lo Ashq* Jannat hai usi ki
Gham e Sarwar mein jo asoo bahaye
Koi misl e Shah e deen ho to aaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *