Noha

kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle
wafa ki laaj rakhli margaye Shabbir se pehle

badi sharmindagi unko hui maidan e khyber may
alam lekar jo nikle Shahe kyber geer se pehle
kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle

sanad Quran ki ahlebayt ke haq may batati hai
ye zaahir thay na nuzoole aayaye tatheer se pehle
kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle

pata chalta hai ye anjame Hur se dekhle dunya
dare jannat nahi milta dare Shabbir se pehle
kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle

Shaheede raahe haq Akbar hue baysheer se pehle
kaleja Sheh ka tha noke sina par teer se pehle
kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle

kaha Akbar se Sheh ne mujko kyon majboor karte ho
zakah marne ki maango Zainab e dilgeer se pehle
kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle

ghame Sarwar diya haq ne Tajammul* shukr laazim hai
badi daulat ata ki khuld ki jageer se pehle
kise nasir milay aise Shahe dilgeer se pehle

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *