Noha

Khat men yeh Sughra ne likha kya hua
Kyon nahin aate ho Bhaiya, Kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Khali jhoole ko jhulatin hai Rabaab
Jhoolne wala woh Bachcha, Kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Kaun pooche Aabid e Beemar se
Do-Paher mein sara kunba, kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Umm e Laila laash e Akbar ke paas
Poochte hai Maa ki mamta, kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Kis liye chhup ho mere karyal jawan
Mooh se kuch to bolo beta, kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Poochte hai mayyat e Qasim se Maa
Mere Bachche tera sehra, Kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Ro padi Zainab Badan ko dekh kar
Sher sa Bhai hamara, kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Ro pade Sughra ka khat padh kar Hussain
Kya likhioon Beti yahan kya kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Be-rida aal e payambar hain Suroor*
Tujhko ai ehsaas e duniya kya hua
Khat men yeh Sughra ne likha kya hua

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *