Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Noha

Paaon main tumko kahan, Hai Alamdar e Shah

Saani e Jafar mera, zeenat e lashkar mera
Bhai mera naujawan, Hai Alamdar e Shah
Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Kahtey they ro kar Hussain, dil ko nahin mere chain
Haye Biradar ki Jaan, Hai Alamdar e Shah
Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Bali Sakina yehi peet ke sar kahti thi
Aao Chacha ho Kahan, Haye alamdar e Shah
Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Naher se aao chacha, Pani pilao chacha
Khushk hai mere zubaan, Hai Alamdar e Shah
Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Haaton mein kooze liye, khaimon ke dar pe khade
Karte they bachche fugan, Hai Alamdar e Shah
Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Aati hai sharm – haya, Mujhko Chachi se Chacha
Muh ko chupaoon kahan, Hai Alamdar e Shah
Kartin thin Zainab bayan, Hai Alamdar e Shah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *