Noha

kalaame haq ki tilawat hai saniye Zehra
ke tarjumane risalat hai saniye Zehra

agar hai panjatan e paak aaya e tatheer
to ye hai Hurmate Quran ki bolti tafseer
nabi ke seena sipar hai jo Shahe khaibargeer
to inke naam se qaayam hai maqsade Shabbir
Hussainiat ki niyabat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

barehna sar bhi rahi haq ki aabroo bankar
ke ab hai chehrae islam par wazoo bankar
gayi jo sajde may to haq ki justuju bankar
hai aaj deen ki rag rag may ab lahoo bankar
azan se iqamat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

jo pahunchi Karbobala qaid-e-shaam se chutkar
pukara ganje Shaheedan may sab ko ro ro kar
kahan ho mere alamdaar aur Ali Akbar
kahan ho Qasime muztar kahan Ali Asghar
sarapa sog hai hasrat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

tumhare baad qayamat guzar gayi Bhaiya
hujume aam may mai nange sar gayi Bhaiya
tumahre sar ki qasam dar badar gayi Bhaiya
Sakeena qaid may ro ro ke mar gayi Bhaiya
dayar e ranj o musibat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

watan ko jaati hoo Bhaiya hamare saath chalo
hai intezaar may Sughra hamare saath chalo
udaas hoga Madina hamare saath chalo
lagega dil na hamara hamare saath chalo
Ali ke ashk e mohabbat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

zaban pe zikr bahattar hai aur Zainab hai
ke shab ko khaak ka bistar hai aur Zainab hai
hamesha matame Sarwar hai aur Zainab hai
ek aansuon ka samandar hai aur Zainab hai
ghame Hussain ki fitrat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

khuloose dil se yehi kijiye dua Mehshar*
ke ho har ek ko deedaar e Karbala Mehshar*
bulaye rauze pe jo Binte Sayyeda Mehshar*
chadao apne salamon ki ek rida Mehshar*
mere qalam ki ibadat hai saniye Zehra
kalaame haq ki….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *