Noha

Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye
Mere Nabi ka pyara Nawasa, Sajde mein mara jaaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Dharti kya aakash bhi larze, Dard se nadiya karwat badle
Pyasa Balak paani ke badle, Teer gale par khaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Khaimon meiN kohram macha hai, Akbar Akbar eik sada hai
Paala hua attharaN baras ka, Seene pa barchi khaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Jalti ZameeN par laash padi hai, Aisi Shaadi nahi suni hai
Khoon ki boondoN se Qasim ka, Sehra goondha jaaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Aa ke Madine chain na paya, Ro ke guzara sara zamana
Bhai ki baateN karti Zainab, Qabr e Nabi par jaaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Raat ka sannata hai darona, Hoo ka jangal, koi na apna
Laash se lipti Bali Sakeena, roye aur ghabraye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Khoon mein dooba chappa chappa, Mara gaya hai shayad Saqqa
Yashrib ka shahzada dekho, naher pa dauda jaaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Mere aasoon woh hain aasoo, Mahir* ajr e Payambar aasooN
Ho jo kise ke aise aasooN, Saamne mere aaye
Kaise na nikleN aankh se aansoo aur hoton se haye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *