Noha

Kaisa Khuda Ke Ghar Mein Yeh Sajda Ali Ka Hai
Dooba hua lahoo mein mussalla Ali Ka Hai

Allah aaj kaisa savera Ali ka Hai
Rangeen apne knoon se chhera Ali ka hai

Main kaamyaab ho gaya Allah ki qasam
Zarbat ka waar sah kar yeh juml a Ali ka hai

Ahale aza yeh raat qayamat ki raat hai
Gham se nidhaal aaj gharana Ali ka hai

Is shab yateem ho gaye Zaherra ke noor -e-Ain
Jo uth gaya saron se woh saya Ali ka hai

Zainab lipat ke roti hain Umm-ul-Baneen se
Uthne se ab qareeb janaza Ali ka hai

Kahte hain sar ko peet ke Maula ke soogwaar
Zaharra qabool keejiye pursa Ali ka hai

Aakhon se mere ashq ruke kis tarah Fareed*
Taboot aaj saamne Maula Ali ka hai

Kaisa Yeh Khuda Ke Ghar Mein Yeh Sajda Ali Ka Hai
Dooba hua lahoo mein mussalla Ali Ka Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *