Noha

Kahte Thin Sakina Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Dekho to chale aayen hain khaimon mein sitamgar
Asbaab hai lutta, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Baba ki judayee ka alam kaise sahoon gi
Mar jayoon gi tanha, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Mai khud hi chali jaati magar kya karoon bhaiyya
Milta nahin rasta, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Aaluld e Nabi Khaakh par baithi hai khule sar
Andher hai kaisa, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Kuch gham nahin paani na mile ta dam e aakhir
Yeh sab hai gawaara, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Woh aayenge toh saath mein besheer bhi hoga
Dil bahle ga mera, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Paani jo mila qaid mein yeh boli Sakeena
Asghar bhi hai pyaasa, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Yeh kahti hue ho gaye behosh who Bachchi
Haye mera baba, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Mooh dekh kar Sajjad ka yeh boli Sakeena
Ab do na dilaasa, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Hamsheer ki mayyat se yeh kahtey uthe Sajjad
Ab kaun kahe ga, Mere Baba Ko Bul a Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Maa kahti thi Haasil* yehi turbat se lipat kar
Phir kah do Sakeena, Mere Baba Ko Bula Do
Bhaiya mere Bhaiya Mere Baba Ko Bula Do

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *