Noha

Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne
Ai Jamaal e Paigambar, khat likha hai Sughra ne
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne
Tumko ai Ali Akbar, Khat likha hai Sughra ne

Kahna yeh Sakeena se, Kab palat ke aao gi
Apni mohini soorat kab hame dikhao gi
Tumko ai Ali Akbar, Khat likha hai Sughra ne
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Tum hamari jaanib se, pyaar karna Asghar ko
Jab palat ke ghar aana, Saath laana Asghar ko
Tumko ai Ali Akbar, Khat likha hai Sughra ne
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Mustaqil Madine ki das rahi hai tanhayee
Jald aao aye bhai, Jald aao aye bhai,
Tumko ai Ali Akbar, Khat likha hai Sughra ne
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Ab to chal raha ho ga, ghutiniyon mera Asghar
Khariyat Sakeena ki khat mein bhej do likh kar
Tumko ai Ali Akbar, Khat likha hai Sughra ne
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Khatm jab hui thahreer, kah rahey thay yeh Sarwar
Ab hamari gardan par, ho ga shimr ka khanjar
Tumko Fatima Sughra, kya jawaab mein likkhon
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Barchiyon se chalni hai, Seena e Ali Akbar
Hurmula ke nawakh se, mar gaya mera Asghar
Tumko Fatima Sughra, kya jawaab mein likkhon
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Ek din ki bhiyi ka, Rann mein mar gaya Shauhar
Mera Quwat e Baazoo, so raha hai dariya par
Tumko Fatima Sughra, kya jawaab mein likkhon
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Jab na rann mein hum honge, Berida Haram honge
Karbala se Kufe tak, mustaqil sitam honge
Tumko Fatima Sughra, kya jawaab mein likkhon
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Bekasi e Sarwar ko, Kya bayaan kare Ishrat*
Ghair hoti jati thi, kah ke Shah ki haalat
Tumko Fatima Sughra, kya jawaab mein likkhon
Kah rahe thay yeh Sarwar khat likha hai Sughra ne

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *