Noha

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Ai Phupi meri rida Karbobala lei jaana
Dhoop mein tha mere mazloom padar ka laasha
Laashe par udha dena meri nannhi si chadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Karbala jaana toh Baba se yeh batla dena
Roye na mere liye, unhe samjah dena
Kah dena satate nahin ab mujhko sitamgar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Kahna Baba se ki ek pal bhi nahin soye main
Aap jis din se gaye, shaam o saher roye main
Ab jaa ke mujhe chhain mila qabr ke andar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Bhaiyya Akbar jo milen, kahana yeh mere kalamaat
Poochne aaye na eik din bhi bahen ke haalaat
Kah dena bahen bandhi gaye rassi mein kaskar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Karbala mein jo mera Asghar e masoom mile
Goad mein lena use aur laga lena gale
Moh chhomna bhayya ka meri simt se ja kar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Naher pe jaa ke Chacha Jan se kah dena salaam
Kahna aada ke sitam sah na saki tashnakaam
Kah dena k who mar ayi zindaan mein ghut kar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Mere ammu ko dikhane mere dono bunde
Eid ke din jo bade pyaar se pahnaye thay
Kah dena lawe cheer ke chene gaye gauhar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Kahna Ammu se Sakina ko yeh maloom na tha
Paani maangon gi to lut jaye gi meri duniya
Kat jayenge baazon mere Ammu ke naher par
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Ai Phuphi aaye nazar shahar e Madina jis dam
Kahna leti thi tera naam Sakina har dam
Kismat mein nahi tha ki watan aaye who muztar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Jis ghadi pauche ga yasrab mein yeh ujada kunba
Poochne aaye gi mujhko meri pyaari Sughra
Rona meri bahena ko kaleje se laga kar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Deti thi sada qabr se Shabbir ki Dukhtar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Rah gaye qaid e sitamgar mein who dukhiya, Wayez*
Goonjta rah gaya zindan mein yeh nauha Wayez*
Main qaid rahoon, qaid mein hai mera muqqadar
Jao Ai Phupijaan Khuda Hafiz o Nasir

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *