Noha

Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam
Hai kaun jo mitaye Rasool e Zaman ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussa in o Hasan ka naam

Girta hai jb koi to woh kehta hai ya Ali
Sikkey ki tarah chalta hai Khaibar Shikan ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

Har takth keh raha hai ke tu le Ali se bugz
Kaabe mein ja baja hai likaha Buut Shikan ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

Le aayi mout gher ke Haidar ke saamne
Marhab to sun ke palta tha Khaibar Shikan ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

Har ek ki zaban par hai Zainab o Hussain
Kalme ke baad chalta hai Bha i Behan ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

MoujeN adab se kyun na hateN raah choRd kar
Kashti ke saat aata hai likha Panjetan ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

Sehra mai bekafan raha Zaharra ka Laadla
is sharm se safaid hai ab tak kafan ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

Mahir* maiN bazme Panjetane Paak par nisaar
Moula bana hai deed ki is Anjuman ka naam
Jab tak hai is jahaN mai Hussain o Hasan ka naam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *