Noha

Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka
Kar diya paamaal laasha Shah e dil abrar ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

Kehte thay Abbas hukm e Sheh se main majboor hoon
Warna gauhar dekhte, Aaqa meri talwaar ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

KehthiN thi bali Sakina, haath Ammu ke katey
Aao sab mil kar kare matham Alam-barder ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

Jab tamachey shimr ne marey, Sakina ne kaha
Haal aa kar dekhyea, Baba mere rukhsaar ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

De chukey Akbar ko jab marne ki ruksaat Shah e deen
Ro ke farmaya Khuda-hafiz mere Dildaar ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

AyeeN dasht e Karbala mein Fatima Aashoor ko
Har taraf samaan dekha hashr ke asaar ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

Kya yooNhi hoti hai mehmani Nabi ke aal ki
Beriyaan aur tauq hisa Abid -E- bemaar ka
Jab kata sookha gala, rann me Shah e Abrar ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *