Noha

Jaate Hain Hum Madinay Kubra Yeh Boli Ro Kar
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Zindaan se choot kar, ghar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Baba ka sabr karna, Asghar ka dhyaan rakhna
Tere hawale ghar bhar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Shaana zara hila de Ammu ko ab jaga de
Kah de yeh koi jaakar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Maidan se uth ke aao, soorat zara dikhaoo
Ay Bhaijaan Akbar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Jhoola isse jhoolana. Lori isse sunana
Jage jo Shab ko Asghar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Sughra Yeh Bole Ro Kar

woh chadaroon ka chhinna, woh khaima -khaima jalna
Le kar yeh saare manzar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Mahshar bapa tah ban mein, Barchi chali thi rann mein
Hum-Shakl-e-Mustafa par, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Thanda Alam hua hai, Khoon-e-Ali baha hai
Teaghey chali Chacha par, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Zindaan mein soo rahi, khamosh ho gayi hai
Lutwa kar apne gauhar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Mahir* miyan-e-sehra Kubra ka tha yeh nauha
Teri zameen basa kar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *