Salaam

Maula ne jalaye hai toh yeh shama jali hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Jo zulm ke mahrab ka jigar kaat ke rakh de
Who sabr ki talwaar Hussain Ibne Ali hain
Islaam par ehsaan e Hussa in Ibne Ali hai.

Zainab hain agar Fatima Zaherra ka namoona
Abbas ki har baat mein andaaz e Ali Hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Uthta hai dhuan seene dariya se musalsal
Pyaase hain Hussain, aag zamane mein lagi hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Shabbir ka gham, Akbar o Abbas ke hamrah
Quraan padha hai kabhi tafseer padhi hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Beemar ko zanjeer pinhaten hain sitamgar
Abbas ko Zainab ki nazar dhoond rahi hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Hamshakl e Payambar ke sina dil mein lagi hai
Maan dil ko sambhale dar e khaime par khadi hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Ai sabr zara tham lo Shabbir ka daaman
Hamshakl e Payambar ke sina dil mein lagi hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Kahne ko sabhi kahte hain apne ko musalman
Jannat me wohi jaye ga jo panjatani hai
Islaam par ehsaan e Hussain Ibne Ali hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *