Noha

Judaye ka gham tujhko sahna hai Beti
Bohat kuch tujhse abhi kahna hai beti
Zara der ko aur nazdeek aaja
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina

Rida sar se Zainab ke chhene ge aada
Rahe ga na khaime me Asghar ka jhoola
Basana hai jaa kar tumhe qaidkhana
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina

Lahed Karbal mein hamari bane gi
Tumhe qaid khane ki mitte mile gi
Na ab saath ho ga hamara tumhara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina

Bahhatar ke daagh ek dil par uthaye
Mujhe mere baba bohat yaad aaye
Uthaya tha Ahbar ka jis dam Janaza
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina

Agar apne aamu ke laashe par jaana
To paani ka koi taqazaa na karna
Abhi thak ke soya hai bhai hamara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina

Zabaan rukh gaye guftagu karte karte
Hum ahiwaal Ishrat* bayan karte karte
Kise ne suna phir na Sarwar ka nauha
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *