Noha

Hussain Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali
Yeh kaisa waqt aa gaya Sarwar par Ya Ali

Kuch soojta Nahi hai mujhe ai mere Noor -e-Ain
Bole Hussain Laash e Akbar Par Ya Ali

Duniya siyaah ho gaye nazroon mein Shah ki
Naiza laga jo seena e Akbar par Ya Ali

Paani kaha se laye jo turbat ko tar karen
Rote hain Shah Turbat e Asghar par Ya Ali

Zainab tadap ke gir padi jalti zameen par
Khanjar chala jo Gardan e Sarwar par Ya Ali

Bade Hussain Kufe se bazaar e Shaam tak
Durron ke waar Aabid e Laghar par Ya Ali

Aaaye madad ko kaun ke Abbas hi nahin
Hota hai zulm aap ki Dukthar par Ya Ali

Kya zlm ho gaye yeh bataye Fareed* kya
Rukti nahi nazar kise manzar par Ya Ali

Shah Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali
Yeh kaisa waqt aa gaya Sarwar par Ya Ali

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *