Salaam

Hussain Ibne Ali Shah E Karbala par Salaam
Hussain Jaan e Nabi, jaan e Fatima par salaam

Salaam bazooe Abbas o Qalb e Akbar par
Salaam ho Tan e Qasim o Halq e Asghar par
Hussain Ibne Ali Shah E Karbala par Salaam

Salaam Zainan e Muztar ke donoo pyaroon par
Salaam Haidar o Jafar ke Chand Taron par
Hussain Ibne Ali Shah E Karbala par Salaam

Salaam dast e qayamat ke sab Shaheedon par
Salaam saat Muharram se Bhooke=Pyasoon par
Hussain Ibne Ali Shah E Karbala par Salaam

Shalaam Shaam e Gareeban mein Jalte KhaimoN par
Salaam Hazrat e Zainab ke bahtey ashkon par
Hussain Ibne Ali Shah E Karbala par Salaam

Yeh kaun unse kahe, ab na royea Bibi
Manga ke paani zara, chehra dhoyea Bibi

Haram ka jo tha nigebaan woh so gaya rann mein
Qamar tha jo Bani Hashim ka kho gaya rann mein

Na fikr keejiye ay Bibi is khule sar ki
Ab aap Kafilaa Salaar hain lute ghar ki

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *