Noha

Dilon ki ghair hai halat, Kaho Khuda Hafiz
Luta ke ashkoN ki daulat, Kaho Khuda Hafiz
Hai aaj roz e qayamat, Kaho Khuda Hafiz
Bujhi hai Shamm e Imaamat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Musafiron ka muharram mana lo ahl -e-aza
Jo aag dil mein lagi hai bhuja lo ahl -e-aza
Tum apni aakhon mein aasoon saja lo ahl -e-aza
Hai eik raat ki zahmat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Jo Sayyada se hai waada use wafa kar do
Aza e Sipte Payambar par dil fida kar do
Gham e Hussain manane ka haq ada kar do
Nahin toh ho gi shikayat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Baha ke ashq Dil -e-Fatima ko shaad karo
Dil-e-Rasool ki poori har ek muraad karo
Laga tha seena-e-Akbar par zakhm yaad karo
Mile gi qalb ko raahat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Alam utha ke Alamdar ko karo rukhsat
Zameen par baith kar Beemar ko karo rukhsat
Saron ko peet ke Sardaar ko karo rukhsat
Bana ke nannhi si turbat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Sajaoo nannha sa taboot Shah ke Asghar ka
Alam uthao padho marsiya bahattar ka
SaroN pe taziyaa rakkho Nabi ke Dilbar ka
Yehi hai ajr e Resalaat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Udao khaak saroN par Hussain jaate haiN
Lutao ashkiN ke gauhar Hussain jaaten haiN
Hamare ghar se bahattar Hussain jaaten haiN
Bahaa ke ashk e nidamat kaho khuda hafaz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Azae Shah ki raunaq jo ghar se jaaye gi
Alam ki yaad hame saal bhar sataye gi
Uthe ga Taaziya ghar se to saat jaye gi
ImaambaroN ki zeenat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Bujha charaag to tareekh yeh zamana hua
Udaas udaas mere ghar ka aashiana hua
Rasool-zada soo e Karbala rawana hua
Rasool-e-Paak ki ummat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Sadaye aatin hain rah rah ke saare aalam se
Sukoon milta hai dil ko Hussain ke gham se
Magar Hussain ki khidmat na ho saki hum se
DiloN mein rah gayi hasrat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Raza* na haath se choote Hussain ka daman
Sada barasta rahe aasoon ka yeh sawan
Aza-e-Shah se mahekta raha mera gulshan
Na kam ho Shah ki mohabbat, Kaho Khuda Hafiz
Hussain Hote Hain Rukhsat, Kaho Khuda Hafiz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *