Noha

Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Watan pohuch kar bhare ghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Nazar padi jo kabhi Maan ki adh-khile gul par
Tabassum-e-Ali Asghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Bilak ke qabr pe Besheer ko na jaao Rabaab
Khule gi neend to Maadar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Rabab bali Sakina ko roye gi din-bhar
Andheri raat mein Asghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Uthey gi koye bhi mayyat jab eithraam ke saath
Bahen ko Laash-e-Sarwar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Madina kaap uthey ga Bahen ke naalon se
Watan mein jab bhi biradar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Sar-e-Hussain se ro kar kaha Sakeena ne
Tumhe bhi kya kabhi dukhtar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Bahen ko aakhri rukhsat mein dekh lo Shabbir
Gala katey ga to Khahar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Rida chhine gi to yaad aaye ga Furaath ka Sher
Rasan bandhi gi to Akbar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Na jaao ganj-e-Shaheeda ki simt ai Zainab
Base Basaye hue ghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Suroor* rok bhi jaye bhi pusht ke aihwaal
Lahed mein gardan e Sarwar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *