Noha

Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Sataye naa ab koi aa ke sitamgar
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai

AndheroN me zindaN ke thi bekarari
Naa izhaar karti thi kuch gham ki maari..
Ajal ne gaale se lgaya jo aakr
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar

Naa sooti thi shab bhar badi be kali thi
Musalsal kayi roz se ro rhi thi
Khuda jaane chain aagya aj kyun kr
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar

Thi pusht uski zakhmi laaho jam gyaa tha
Woh kurta jo zakhmo se chipka hua tha
Wahi khooo bhara aaj kurta phen kar
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar

Kabi zikr karti thi apne Chacha kaa…
Kabi puchti thi kab aayenge Baba…
Yahi kahte kahte kab aayenge Asghar
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar

Sitam yeh nahi hai toh phir aur kya hai
Suna hai ke hukme rihayi mila hai
Sakeena akeli rahegi yaha par
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar

Sakeena to soo e jinaa chal basi thi
Munawwar* sada thi magar Maamta ki…
Yahi kah ke Maa ro rahi thi lahed par
Hamari Sakeena ko neend aa gayi hai
Yeh kahti thiN kabre Sakeena pe Maadar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *