Noha

Pyaasi hai kai roz se Maula meri Bachchi
Is tashnadahani mein na mar jaye Sakeena
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Mil jaaye jo saqqai ki Maula se ijazat
Paani se abhi tar karoon lab, haye Sakeena
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Dharas hai abhi Ahl e Haram ko mere dam se
De isn jo Maula to sukoon paye Sakeena
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Uff Aal e Mohammad pa yeh kya waqt pada hai
MaiN deha karooN, saamne mar jaye Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Abbas se kahtiN thiN yeh Abbas ki hasrat
Duniya mujhe kahne lage Saqqa e Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Abbas ki dharsa thi muqqadar ka sahara
Is tarahN se bachchoN ko na samjahye Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Paani ko jo laane ki ijazat mili Sheh se
Chillaye adu, aata hai Saqqa e Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Jis waqt hua thanda Alam, Naher kanare
Abbas ki ghairat ne kaha, Haaye Sakeena
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Masoom nigahoon meiN woh dariya ki rawani
KahtiN thiN muqqadar se atash haye sakeena
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Tum ja ke Chacha naher se wapas nahi aaye
Jangal meiN kahan dhoonde gi, dar jaye Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Tum soote ho aaram se dariya ke kanare
Ammu mere, kya pyaasi hi mar jaye Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Mar jaaoNgi, paani ke liye uff na karooNgi
Ammu ko Khuda khair se ab laye Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Majlis mein yeh hi kah ke har eik roata hai Nasir*
Saqqa e Sakina to kabhi, Haaye Sakina
Haider ka Pisar aaj hai Saqqa e Sakina

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *