Noha

Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Kalaje se apne laga loon main aao
Mera dil dhadakta hai Tum darr na jao
Hai ghari khamoshi hai ghaira andhera
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Kadam soo e saahil na hargiz badha na
Khuda ke liye soo e dariya na jaana
Wahan kaise dekho gi Saqqa ka laasha
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Dikhata hai maidaan qayamat ka manzar
Bhala kaise dhoondo gi Tum qabr e Asghar
Har ek simth chhaya hua ha i andhera
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Sabhi khoon e dil mein nahaye huey hain
Baraati galoon ko kataye huey hain
Ajal le ke aaye hai Qasim ka sehra
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Meri jaan jaana na ganj e shaheedan
Tadapti ho Tum aur hogi pareshan
Sina khaye soota hai Bhai tumhara
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Pukar aaye tumko main dariya par jaa kar
Mai pooch aaye Saqqa ka shaana hila kar
Lagaye they mashkiza dil se Tumhara
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Chali aao godi mein tum ko suli doon
Tumhe Karbala ki kahani suna doon
Rulaoo na apni Phuphi ko Khudara
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Main Gang e Shaheeda gayi dil sambhale
Main chhup thi magar dil mein ghutte they nala
Wahan bhi pata mil na paya tumhara
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Gale lag ke Baba ke roi hai shayad
Gile Shikwe kar kar ke sooie ho shayad
Mai sooe nasheb aa rahi hoon Sakeena
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Zamana hua aaye shaam e ghareeba
They maah e haram khaake sahera par girya
Fazayen sunatin hain ab tak yeh nauha
Kahan ho Sakeena, Kahan ho Sakeena
Hai Sham-e-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *