Noha

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao
Hai rooh e jaan e Haider, Maula Madad Ko Aao
Hum ho rahen hai be-ghar, Maula Madad Ko Aao
Jeena hua hai dubhar, Maula Madad Ko Aao
Koi nahi hai yawar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Gheren huey hain humko zulm-o-sitam ke toofan
Ab kashti -e-aza ke bastum hi ho nigehban
Koi nahi hai rahbar hain karwan pareshan
Har ek bachcha raha ha i ab apna apna daman
Kisko banayen rahbar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Maula tumhara gham bhi mushkil hai ab manana
Mumkin nahi hai koi soorat Alam uthana
Mit jaye quam-e-Shia hai khwaish-e-zamana
Dard-o-sitam mein ab hai bidat ka taziana
Ab hai galon pe khanjar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Phir aaftab-e-haq par chhaya hai abr-e-baatil
Har ahle-haq ka jeena phir ho raha hai mushkil
Be-jurm mominoon par chalti hai tegh-e-qatil
Faryaad adl ki hi hai koi nahi hai adil
Sadqe yeh quam tumpar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Is jurm par hai humko mashke sitam banayia
Jo humne majlisen ki aur jo alam uthaya
Zalim ka zulm humne duniya ko kyon bataya
Hum khud to ro rahe they auron ko kyo rulaya
Ilzam hai yeh humpar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Zalim yeh chahete hai naam-o-nishan mita de
Eilan-e-haq hai jinse un mabaton ko dha dey
Chun chun ke mominoon ka ek ek ghar jala de
Is sher-e-Luckhnow ko ek karbala bana de
Hum jaan bachayen kyonkar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Hum momnoon ke dil par chalte hain gham ke aarey
Behal ho rahen hain zulm-o-sitam ke marey
Ghere huey hai humko toofan ke tez dharey
Kashtiye zindigi ab kyonkar lage kanare
Toota hua hai langar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Daure yazeediyat ka phir sar utha raha hai
Nam-o-nishane haq ko aksar mita raha hai
Batil ko haq aur haq ko batil bata raha hai
Maula charag-e-haq par dasdil mila raha hai
Lillah bhar-e-dawar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Duniya ki taqaton par itra rahen hain zalim
Har fail -e-haq ko biddat balta rahen hain zalim
Qual-e-Rasool-e-haq ko jhutla rahen hain zalim
Har tarhan zulm humpar dha rahen hain zalim
Amn-o-aman ho kyonkar, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Mahboob-e-kibriya ka sadka madad ko aao
Bazoo-e-Mustafa ka sadka madad ko aao
Do xxx Fatima ka sadka madad ko aao
ka sadka madad ko aao
xxxx xxxx xxxx, Maula Madad Ko Aao
Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *