Noha

Kartey they sarwar buka,
Haye Kamar jhuk gai,
Mar gaya bhai mera,
Haye Kamar Jhuk gai,

Mar Gaye hum jeete ji
Chhut gaye hum se sabhi
Ho gaye baazo juda
Haye Kamar Jhuk gai,

Quwat-e-baazoo tha woh
Qalb ki taaqat tha woh
Ho gaye hum benawa
Haye Kamar Jhuk gai,

Thaam lo baazoo pisar
Le chalo soo-e-Farath
Mar gaye tere chacha
Haye Kamar Jhuk gai,

Ley chalo Akbar wahan,
Bhai hai mera jahan,
Jald chalo mehlaqa,
Haye Kamar Jhuk gai,

Dar pe khadi beqarar
Karti hai woh intezaar
Us-se kahoon ga main kya
Haye Kamar Jhuk gai,

Ley key chacha ka alam,
Noha yeh parhtey howey,
Jao sooye khaimagah,
Haye Kamar Jhuk gai,

Pyas sey sab hain nidhal
Pani ka hoga sawal
Kehna woh sab behgaya
Haye Kamar Jhuk gai,

Aisa Ali ab kahan
Paye ga Sibt-e-Nabi
Jaisa ke Abbas tha
Haye Kamar Jhuk gai,

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *