Noha

Haaye Hussain pyaase Hussain

Damishk mai jo gareebeon ka khafela pahoncha
Yazeede nahes ne darbar me bula bheja
Bahen se shaye ki shahadath ka waqeya poocha
Tarap ke binthe Ali ne yazeed se ye kaha
Zamee ki goad me Islam ka sitara hai
Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Kaha yazeed se Zainab ne aye sitham ara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze .Aashora
Mere Hussain ko jangul me ghair kar mara
Ali ka kardiya barbad ghar ka ghar sara
Jo bekafan hai abhi tak Ali ka pyaara hai
Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Suhaag ojra kisi ka kisiki kokh jali
Kisi ka jal gaha daman rida kisi ki chini
Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi
Nabi ki aal hai zindan me ya Ali madadi
Jahan mai Zainab e dilger besahara hai
Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Shaheed ho gaye Abbaso Khasim o Akbar
Wo mere Aaon o Mohammed wo mere noor e nazar
Mai tujhko doondho kahan bezaban Ali Asghar
Bathao bibion main roon aaj kis kis par
Shakhi ne Sibthe Payember ka sar utara hai
Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Ye ranjo gham sitam o zoor aur jafa kabtak
Rasool zadiyan balwe me berida kabtak
Rahegi qaid me Aulade Murtuza kabtak
Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak
Mujhe tho mauth bhi alam me ab gawara hai
Mere Hussain ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Damishk mai jo gareebeon ka khafela pahoncha
Yazeede nahes ne darbar me bula bheja
Bahen se Shah ki shahadath ka waqeya poocha
Tarap ke Binte Ali ne yazeed se ye kaha
Zamee ki goad me Islam ka sitara hai
Mere Hussain ko lakheon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *