Noha

Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Khaali jhoola MaaN ko tadpata hai Asghar, ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Hai andheri raat aur tum ho akele mere laal
Dar na jaao dekho sannata hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Maaf kar do jo khata MaaN se hui ho mere Laal
Rooth kay yuh bhi koi jaata hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Aaao aao main gale ke zakhm ko to baandh dooN
Jism ka sab khooN baha jata hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Maa ke hote Karbala ki khaak par soote ho tum
Rotey ho ya koi bahlata hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Haaye Khaime jal gaye, Qaide bane, Chadar chhini
Karbala se qaafila jaata hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Qatl Sarwar ho gaye, Ghash mein hai Sajjad e Hazeen
Aag se khaima jala jata hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Yaad aaate hain jo Nasir* Banoo e muztar ke bain
Aakh bhar aati hai, Dil roota hai, Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao
Eik dukhya MaaN ka yeh naala hai Asghar ghar mein aao
Haaye Asghar Ghar mein aao

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *