Debal E Hind Janab Zakhir Sahib

Maa ka naala laash tak aata hai Akbar ghar mein aao
Dekh koi yun bhi rulwata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Aakhri dedaar mumkin ho to dikhlado mujhe
Laash uthane ran mein Baap aata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Tukde tukde hogaya nazuk kaleja waqte jab
Is tarha barchi koi khata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Sadqe jaungi wafa ehde jawani ne na kuch
Itne jaldi koi mar jaata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Tum yahan maqtal mein ho aur Maa hai deowri par tapa
Meri jaan ulfat mein farq aata hai a Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Tumse milna kya tumhari maa ke kismat mein nahi
Dil mera kaahe ko ghabrata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Khaime ke dar par Tumhare waaste roti hai Maa
Aise koi maa ko rulwata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Kheme ke dar par tha aye Zakhir* yeh Laila ka bayaaN,
Koi itni raah dikhlata hai Akbar ghar mein aao
Haaye Akbar ghar mein aao

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *