Noha

gyarhweeN maahe aza ko hukm’e Ibne Saad se
apne maqtooloN ke laashe, fauj waaloN ne chunEy

aur ikattha karke dafnaaya unheiN baad’e namaaz
pAr Nabi_ZaadoN ke laashe dhoop meiN jalte rahEy

apne kushtoN ko shaqi dafna ke jab fhaarigh hu’e
laaey be_mahmil shutar, Ahle Haram ke waastEy

aur baghaire maqna o chaadar kiya sabko sawaar
tauq pahnaaya galey meiN Aabid’e dilgeer kEy

Sayyed’e Sajjad ke chehr’e ka rAng uRta hua
deikh kar Zainab yeh boaleeN, Aabid’e dilgeer sEy

hai yeh kya haalat tumhaari, dil ko samjhaao zara
waarisoN meiN ab tumheeN baaqi ho hUm sAb ke liEy

sabr maiN kyuNkar karooN, Aabid ne Zainab se kaha
apne maqtooloN ke laash’e dafn unhoN ne kar diEy

pAr mere baaba ki uryaaN laash hai rUn meiN paRi
deikhooN kin aaNkhoN se jalti dhoop meiN tapte huEy

bibiyoN meiN hashr tha aey Fikr* laashey deikh kar
pAr shaqi qaidi banakar suuey Koofa lEy gaEy

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *