Noha

Qabre Asghar pe kehti thin madar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Aao jhoola tumhe main juhlaoo
Lori de kar, thaphak ke sulaoon
Neend aaiye gi jungal me kyokar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Soona jangal hai aur hooka ban hai
yah musafir ko ranj o nahen hai
kyo lagaya hai khaak par bistar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Neli dori hai nazuk kalai
Chhe mahinee ki meri kamaai
Bhoore baalon pe sadqe ho maadar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Lene aaiye ho tumko ai beta
tukde hota hai mera kaleja
Teer maare na koi sitamgar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Basti jangal me tumne basai
yeh jaghan tumko kyo raas aiye
Sooni goodi hai maan ki ai dilbar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Bha gaye teri soorat zameen ko
le liya mujhse tujh nazneen ko
yeh na soocha ke roye gi maadar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Qabre Asghar pe kehti thin madar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *