Noha

Ghame Shabbir hai aaho fughan hai
yehi Mehshar* hayate jaweda hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

sanaye Sheh mere bas ki kahan hai
mai qatra hoo wo behre bekaran hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

qalam jo madhe Sarwar may rawan hai
yazeedi khalb par noke sina hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

jahan khilte hai gul haq e imamat
wo khatoone jina ka gulsitan hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

Hussain ibne Ali kashti ke langar
ridaye Binte Zehra baazban hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

dehen Sheh ka Payambar ki zaban hai
nabuwat ki imamat tarjuma hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

pisar ki laash par kehti thi laila
utho beta ke ab waqte azan hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

kiye ja midhate aale Payambar
yehi Mehshar* hayate jaweda hai
Ghame Shabbir hai aaho fughan hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *