Noha

Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya
Yeh zakhm koi bhi rut ho hara nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Hum usko kahtey hain Maula -e-kayanaat ke jo
Nabi kisi ko kisi ko Khuda naya nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Jahan bhi baith gaye majlis-e-Hussain ko hum
Wahi se khuld ka ek raasta nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Zaroor bhagti faujey ke sar par pao they
Labe Furaath na ek naqsh-e-pa nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Yeh tum ne teer se kya has ke kah diya Asghar
Nishana tum pe, mara Hurmula nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Tamaam raat charagh-e-zameer ki lau mein
Sawara Hur ke liye jaagta nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Bujhi jo aag Saah-e-Karbala ke khaimon ki
Amir-e-Shyam ka chhera jala nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Jo aasman pa shafaq ki ibaratoon ka payaam
Lahu se likkha hua Karba la nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Salaam us par jisse zer-e-khanjar e qatil
Maqaam-e-Sajda-e-shukr e Khuda nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Hussain usko ata ho Anees* ka sadqa
Tere huzoor sarafa dua nazar aaya
Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *