Noha

Ghabraaegi Zainab,Ghabraaegi Zainab
Bhayyia ko Madine mein kahan paaye gi Zainab
Ghabraaegi Zainab, Ghabraaegi Zainab

Ek din mein bhara ghar hua barbaad ilaahi,
Aaye who tabahi
Ab isko na aabad kabhi payee gi Zainab
Ghabraaegi Zainab …

Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja,
Yaad aaoge bhaiyya
Dhoondhe gi jo tumko to kahaan payegi Zainab
Ghabraaegi Zainab …

Ghar jaa ke kise dekhe gi, Qasim hain na Abbas,
Asghar se bhi nhai paas
Apne Ali Akbar ko kahan paye gi Zainab
Ghabraaegi Zainab …

Beta Ali Akbar jo watan jaaye gi naasha ad,
Aaye gi teri yaad
Sooni tere soone ki jaghan paaye gi Zainab
Ghabraaegi Zainab …

Poochenge joh sab loug ke baazu pe huva kya,
yeh neel hae kaisa
Kis kis ko nishan rassi ke dikhlaegi Zainab
Ghabraaegi Zainab …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *