Noha

Furqat mein Sakina ki roye, besheer ka jhoola yaad karey
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Tu sham e mazaar e Zaherra ho tum raunak e koofe ke — ho
Kaise na tumhe mere Baba Nana ka Madina yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Jaldi se palat aao ghar mein Saiyyada utha kar godi mein
Beemar Bahen kab tak Baba Asghar ka humakna yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khat mera dikha kar kahiyea ga bhaiyya Ali Asghar se itna
Ai yousuf e Aal -e-Paygambar Aa jaao Madina Yaad Karey
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khat de ke mera Baba ko ek kaam yeh karan ai Qasid
Abbas Chacha se se kah dena Ro ro ke Sughra yaad karey
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Ai badd e saba jab Karbo-bala jaana ho to itna kah dena
Pardes jane walon ko Dukhiya aaj Sughra yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khamoosh hai deewaren sari Weeran pade hain daar -o-dar
Ek shame haraf ek aal -e-Nabi Mabood ka Kaaba yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

woh ruhkasat-e-aakhir ka manzar woh lachak ke jaane ooton ka
Dil mera abhi tak ai Baba Phuppiyon se lipatna yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Allah ko saupa hai tumko Ai Al -e-Mohammad jaao magar
Samjha rahen jab bhi mujhko Ro ro ke Sakina yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Jab thandi saasen bharti hai Dil kahta hai Asghar Asghar
Mahir* ke chane walon to Allah pe Sughra yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *