Noha

Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar
ay lashkare islam ke salaar, Abbas Alamdar

hai kaun tere baad nigehban harram ka
batlao to waris hai bhala kaun alam ka
uthega kahan daag o bala ranjo al am ka
hai kaun mera madadgaar, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

ruqsat jo hue Hazrate Shabbir harram se
thehre hain harram lipte hue Shahe umam se
ek bachi bhi lipti hui thi Sheh ke khadam se
thay ghash may udhar Abide bemaa r, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

zakhmo se badan choor hai aur haal hai muztar
kis tarha tanha mujse uthe laashaye Akbar
aao meri imdad ko ay mere Biradar
tum ho pisare Hydere karraar, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

lejayega kumbe ko mere shaam ka lashkar
sar nange harram jayenge darbaar may kyon kar
ek ek se faryaad karegi meri khaahar
bemaar mera khaafila salaar, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

rehjayegi beyaro madadgaar Sakeena
kis tarha sahegi bhala aazaar Sakeena
ab hogi na pani ki talabgar Sakeena
darya se ab aajao wafadar, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

hum ahle aza karte hai Shabbir ka matam
is gham se nahi badke hume aur koi gham
bas saaya figan sar pa rahe aap ka parcham
kehlaate hai hum aap ke ghamkhar, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

pudil se mere door nahi aap ka rowza
rehta hai mere seene may ek dard ka darya
daala hai isi mauj may nowhe ka areeza
Mehshar* bhi ek adna azadaar, Abbas Alamdar….
Farmate thay ye Sayyede abraar, Abbas Alamdar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *