Noha

Ek Raat Ki Bhiaye Yeh bayan Kahti Thi RoKar
Main lut gaye sahib

Haye tum ran mein pade soote ho
Yahan main hoon khule sar
Main lut gaye sahib

Ek shor hua khaimey mein Jab aaye sitamgar
Jab mar gaye Sarwar
Haye khaimey jale asbab luta chhin gaye chadar
Main lut gaye sahib

Kangne ki jagha haatho mein ab dohri rasan hai
Yeh ranj -o-mehan hai
Haye afshan ki jagha khaak padi hai mere sar par
Main lut gaye sahib

Durron se hui chhauthi Rasan se huey chale
Dil par chale bhale
Haye jab mooh ki dikhaye, main phiraye gaye dar dar
Main lut gaye sahib

Nat cheen le aada ne hai khoon naak se jaari
Main kyon na hoon zaari
Haye bhaiya Ali Akbar hain na Abbas e Dilawar
Main lut gaye sahib

Amma ne mujhe aan ke rand-sala pinhaya
Aur sehara badhaya
Haye jab choodiya todin to sukhan laye yeh lab par
Main lut gaye sahib

Shaadi mein jahan jaaongi sab mujhse daren ge
Yeh kalma kahen ge
Haye bewa hai yeh saya na pade iska dulhan par
Main lut gaye sahib

Rakhey huey aakhon par rahi saath thi Kubra
Kaheti thi woh dukhiya
Haye aise hui shaadi hua barbaad bhara ghar
Main lut gaye sahib

Ek Raat Ki Bhiaye Yeh bayan Kahti Thi RoKar
Main lut gaye sahib

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *