Noha

Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai
Is dard se badh kar koi aaraam nahiN hai

Din bhar meiN hamesha ke liya kar diya zinda
Shabbir ka ejaaz hai Islaam nahiN hai
Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai

Masghool e dua haiN Shah e wala tahe khanjar
HotooN par shikayat ka kahin naam nahiN hai
Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai

Kahte thay nishane pe yeh Besheer ke tewar
Duniya na ulat dooN toh mera naam nahiN hai
Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai

Islam ki aagosh meiN aa jaye gi duniya
Faize ghame Shabbir abhi aam nahiN hai
Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai

Qurbaan Sarosh* iss dil e Sarshaar e Wafa ke
Aisa lab e kausar bhi koi jaam nahiN nai
Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai

Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai
Is dard se badh kar koi aaraam nahiN hai
Dil ko Gham e Sarwar ke siwa kaam nahiN hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *