Noha

Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi
Hai wajd meiN ghazalkhwaN, Bulbul bhi aur saba bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Koo Koo woh koyaloN ki Woh pee kahan ka naghma
Kumri ke raag se woh goonji hui fiza bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Abbas naam inka, haiN yeh wafa ke paikar
Rob o Jalaal aisa, darteN haiN ashkiya bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Umm al Bani mubarak, Tumko yeh maah e Shabaan
Paida huey Sheh e Deen, Abbas Ba -Wafa bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Taabe nigha inki, kya layeN hoor o ghilmaN
Yeh laal haiN Ali ke aur durr e be -baha bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Shabbir aur Shabbir, lo lo hain aur Marja
Durr e Najaf yeh khud haiN aur rahmat e Khuda bhi
Chhaya hai abr e rahmat, kulkaif hai fiza bhi

Farsh e ZamarrudiN par baarish woh Mootiyon ki
Shabnam ne haiN lutaye kya durre be bahaa bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Tumko diya Khuda ne aisa shajih Beta
Shabbir bhi haiN Shadaa, Masroor Murtuza bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Ai Sher e Haq mubarak, yeh Maah e Hashmi ho
Sadqe meiN inke dekhun, Kaaba bhi Karbala bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Farsh e ZamarrudiN se, ta arsh ho raheN haiN
Salle Allah ke naare, Tauseef aur sana bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Ya Rabb ba aish o Ishrat, yeh momineed raheN sab
Qayam rahe yeh mehfil, badhti rahe wila bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Ya rab yeh muddaha hai, is Noor* e khasta jaan ka
Ho zindagi inayaat, Haasil ho ab shifa bhi
Chhaya hai Abr e Rahmat, Purkaif hai fiza bhi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *