Noha

Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai
Bhai ke dafn karne ko hamsheer aaye hai
Muddat ke baad raandoN ki hasrat baraye hai
Uss laasha e baraina ne ab goar paaye hai
Ai rone waloon peeto saron ko duhayi hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Rota hai jisko aaj zamane mein har bashar
DaswiN mein Karbala mein kata haye uska sar
Ahle Haram phiraye gaye jiske dar ba dar
Chhalis din pada raha jo reig e garm par
Uss laasha e baraina ne ab goar paaye hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Jab Ahl e Bait waarid e Karbobala huey
Masroof matame Pisar e Murtaza huey
Zainab pukari haye yaha par juda hue
Bolo to logoN Akbar o Abbas kya huey
Kyun aaj Karbala Mein udasi si chhaye hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Lashoon ko dafn Sayyed e Sajjad karteN hain
Aul ahle qariya dasht mein imdaad karteN hain
Phata hai dil Hussain ko jab yaad karteN hain
Ahle Haram bhi naala o fariyaad karteN hain
Zaherra ki rann se rone ki awaaz aaye hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Al qissa runn se soo e Madina Haram chale
Sajjad saath BahenoN ke ba chashm e nam chale
Zainab pukariN chhod ke Bhai ko Hum chale
Bahhatar ke laashe ko chhod ke maidan se Hum chale
Go shaaq dil pe had se siwa yeh judai hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Zainab Madina jati hai Shabbir Alwida
Kadiyal Jawan Nana ki Tasweer Alwida
Abbas tum se kahti hai Humsheer Alwida
Shashmah mere Asghar e Besheer Alwida
Kaise yeh sabko dasht mein ab neend aayi hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

HaaN ShiyoN tum bhi roo ke hai furqat e Imaam
Hai aaj alwidaye Hussain e Falak Maqaam
Chhalis din Imaam ka maatam raha tamaam
Rone na paye Shah ka maatam hua tamaam
Ayi ShiyoN tumse Shah e Zaman ki judai hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Zaherra ke laal ShiyoN ke Sardaar Alwida
Akbar Shabi e Ahmad e Mukhtar Alwida
Abbas Ibne Haider e Karrar Alwida
Nannhi si jaan Baano ke Dildaar Alwida
Eik teergi si MominoN ke dil pe chhaye hai
Chehlum ko Rann mein hashr bapa hai duhaii hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *