Noha

Chaman chaman kali kali Ali Ali Ali Ali
Mera Shahe Zaman Ali, Jari o bud-shikan Ali
Shareeke Panjatan Ali, Charagh e anjuman Ali
Khuda ka kaun hai Wali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Ali ka daaye khambari ata kare qalandari
Ali hai Faqre Buzari, hai jiska naara Hyderi
Shehr shehr gali gali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Ali Khuda ki shaan hai, Rasool ki zabaan hai
Ibatado ki jaan hai, Bilal ki azaan hai
Namaz jismay hai dhali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Woh aql bhi shaoor bhi, woh ghaibat o zahoor bhi
Woh Mustufa ka noor bhi, woh Nooh ka ghuroor bhi
Hai jiski zaat munjali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Woh lashkare sipaah bhi, kahin woh Baadshah bhi
Karam ki baargah bhi, hamari Sajdagah bhi
Yeh kehke har bala tali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Zameen pe Bu Turaab hai, falak pe Aaftab hai
Khuda ka inteqab hai, jahan meiN la -jawab hai
Khuda ka naam bhi Ali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Woh taygh ki chamak bhi hai, woh deen ki kumak bhi hai
Woh deen ka falak bhi hai, nusairiyo ka Shak bhi hai
Kisi ka hai Mahabali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Woh deen ka viqaar hai, Khuda ki Zulfiqaar hai
Woh adl ki pukar hai, Woh aisa Taajdaar hai
Malak ne jiske aur dhali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Zameen bhi hai Zaman bhi hai, Makeen bhi hai Makan bhi hai
Ayan bhi hai Niha bhi hai, Yahan bhi hai Wahan bhi hai
Rasool ka hai mursali, Ali Ali Al i Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Namaz hai, wazoo hai tu, Khuda ki guftuga hai tu
Aza ki aabroo hai tu, hamari justujoo hai tu
Likha Najaf ki har gali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Khuda ka Ehteraam ho, Rasool ka Nizam ho
Ali ka intezam ho, Durood ho Salaam ho
Sada ho ye gali gali, Ali Ali Ali Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Woh Mustufa ka janasheen, dua e Mehshar* e hazeen
Kiya hai yaad jab kahin, Madad ko aa gaye wahiN
Saynjali saynjali, Ali Ali Al i Ali
Chaman chaman kali kali, Ali Ali Ali Ali

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *