Nadeem Sarwar

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan, Barhta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Chalta Rahe Ye Karwan, Barhta Rahe Ye Karwan
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan, Barhta Rahe Ye Karwan

Ye Karwan Hay Ahl E Aza Ka
Ye Karwan Hay Karbobala Ka
Sar Py Alam Hay Shah E Wafa Ka
Ye Silsila Hay Sabr O Riza Ka
Jab Tak Ye Dam Ho, Maula Ka Gham Ho
Gham Ye Na Kam Ho, Har Ankh Nam Ho
Mashk O Alam Ho Pasbaan
Chalta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan

Is Karwan Ka Hussain Rehbar
Shamil Hain Is Mein Sheh Ke Bahattar
Jinn O Malak Bhi Chalte Hain Mil Kar
Shamil Hain Hum Bhi Adna Se Nokar
Bazm E Aza Hay Raah E Wafa Hay
Sab Ki Sada Hay Sab Ki Dua Hay
Roshan Rahe Ye Kehkashan
Chalta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan

Salam Tum Par Hussain Walon
Ay Azadaro Ay Gham Gusaaro
Ali O Zehra Ke Jaan Nisaro
Ishq E Nabi Ke Roshan Sitaro
Ay Pursa Daro Ay Soagwaro
Ghazi Ke Pyaro Sheh Ke Dulaaro
Tum Par Khuda Ho Meharbaan
Chalta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan

Hussain Maula Ka Qafila Hay
Majlis O Matam Ka Silsila Hay
Nabi Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hay
Hussainiyat Ka Hami Khuda Hay
Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah
Hum Sab Ke Aaqa Daaman Tumhara
Hussainiyon Ka Sayebaan
Chalta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan

Hussain Ka Gham Zinda Rahay Ga
Matam Zamana Karta Rahay Ga
Farsh E Aza To Bichta Rahay Ga
Hussaini Parcham Ooncha Rahay Ga
Ye Azadari Ye Pursa Dari
Ghar Ghar Hay Jari Giriya O Zari
Noha Kunaan Hay Do Jahaan
Chalta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan

Kya Shan Ho Gi Iss Karwan Ki
Jab Hon Gay Shamil Imam E Mehdi
Sharf E Ziarat Ho Ga Hamen Bhi
Matam Bhi Ho Ga Majlis Bhi Ho Gi
Hum Den Gay Pursa Karbobala Ka
Har Be Khata Ka Har Be Rida Ka
Maula Bhi Hon Gay Darmiyan
Chalta Rahe Ye Karwan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan Barhta Rahe Ye Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *