Noha

boli maaN dey gaEy tUm daagh’e judaai beita
haaEy iss sin meiN tumheiN bhi ajal aai beita

tUm ko doolha bhi na aey laal banaane paai
ke sinaN seene pa zaalim ne lagaai beita

dil meiN hasrat thi ke parwaan chaRhaati tUm ko
par yahaaN aak’e luti meiri kamaai beita

Shah akeile haiN bAs ab sO chuke aey laal utho
neend kaisi Ali Akbar tumhein aai beita

kis liye roothe ho aao maiN mana looN tumko
kuch zabaaN se tO kaho saDqe yeh daai beita

maiyat aai Ali Asghar ki tO boliN yeh Rabaab
neeNd is pyaas meiN kyuNkar tumheiN aai beita

dil mein armaaN tha ke maiN doodh baRhaati lekin
hui paikaaN se teri doodh baRhaai beita

raat andheiri hai, biyaabaan hai, dAr jaao ge
goad mein aao yeh kya dil meiN samaai beita

waari iss dasht meiN mujh kokhjali se chut kar
haaey aaghoash’e lahad tumne basaai beita

choti si laash pa aey Fikr* yeh maaN kahti thi
ghutniyoN chalne na paaey ajal aai beita

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *