Noha

boleeN zindaaN meiN Zainab yeh roakar, qaid meiN ho gaya ek maheena
hUm sabhoN ki khabar lo baraadar, qaid meiN ho gaya ek maheena

paas apne bula leeje bhaai, uth nahiN sakti mujhse judaai
sabr kabtak kareigi yeh khwaahar, qaid meiN ho gaya ek maheena

ahle Qarya ne mayyat uthaai, dasht’e ghurbat meiN turbat banaai
hUm to ab tak haiN laachaar o muztar, qaid meiN ho gaya ek maheena

dhoop din bhar ki aur oas shab ki, ghair haalat hai zindaaN meiN sAbki
pahoNcheiN kyuNkar tumhaari lahad par, qaid meiN ho gaya ek maheena

ab jafaaoN ki bhi hAdd hui hai, zabt karne ki quuwat nahiN hai
roane bhi paai ab tak na tUm pAr, qaid meiN ho gaya ek maheena

deikho Sajjaad ko aake bhayya, aahini tauq gardan meiN daala
jaaN balab hai woh beemaar o laaghar, qaid meiN ho gaya ek maheena

hai Sakeena ki bhi ghair haalat, deikhi jaati nahiN uski surat
kuRhti hai aap ki pyaari dukhtar, qaid meiN ho gaya ek maheena

Shimr ne be_khata durrey maare, aur kaanoN se gauhar utaarey
bachchi roati hai abtak bilak kar, qaid meiN ho gaya ek maheena

jin se phir jaaey saara zamaana, Fikr* unka kahaaN pAr thikaana
kyuN na hoN zulm unn be_kasoN pAr, qaid meiN ho gaya ek maheena

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *