Noha

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola
Hai Jal Gaya Jhoola, Hai Jal Gaya Jhoola

Uski yaad jab aati dekh kar sukoon paati
Sabr aaye ga kyonkar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Goad ho gayi khaali Qatl ho gaya wali
Kisse mein kahoon jaakar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Khoon banke sadmo se bah raha hai aakhon se
Dil pe chal gayakhanjar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Kis qadar hai sannata kuch nazar nahi aata
Hai dhuan-dhuan manzar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Aa ke dil se aakhon tak kiski raat phaile hai
woh nishani e Asghar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Pahla zakhm yeh khaya Woh na laut kar aaya
Dusra laga nashtar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Kaise din guzarun gi bas yahi pukaroon gi
Khaak ho gaya bistar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Bhoolna hai na-mumkin yaad aaye ga har din
Kaise dil karoon patthar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Ai Suroor* woh muztar Bezubaan ki turbat par
Kah rahi thi ro-ro kar, Hai Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *