Noha

Bano ne kaha shaam hai , Shah ke Qamar aa ja
Ho raushini duniya meiN meri tu agar aa ja

Laundi hooN teri maiN, mujhe Maadar na samajhna
Ai Shah e Arab, Shah e Najaf ke Pisar aa ja

Sad marhaba jo rok liya teer humak kar
Maa khooN bhari pooshak badal de agar aa ja

Takiya hai na bistar, tujhe neend aayegi kyunkar
Turbat ka makan chhod ke Banoo ke ghar aa ja

Yaad aate haiN jis waqt, tere baal jhandoole
Uljhan meri badh jaati hai, O Be-khabar aa ja

Bano ne kaha shaam hai, Shah ke Qamar aa ja

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *