Noha

Bano Kahtin thin mere goad mein besheer nahin
Haye milne ki jahan mein koi tadbeer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Kis liye mujhse khafa ho ke gaye jangal mein
Mai qasam khaati hun meri koi tafseer nahi
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Minnaten kar ke laeeno se mai lungi paani,
Bas siva iske meri jaaN koi tadbeer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Aao bas aao kaleja karo thanda mera
Bhejti lene ko majboor hu shabbir nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Goke raahat hai tumhe qabr mai jhoole se bahut,
Lekin aye laal wahan Maadare Dilgeer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Pehle maloom hua tha ke hai sabka majma,
Ab yh sunti hu Payambar ki bhi tasveer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Hurmula ne jo lgaya tha gale par tere,
Haaye Shabbir se khaicha gaya woh teer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Lene Sajjad ko bhejugi karungi minnat,
Jis ghadi dekhugi ab paon mai zanjeer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Phir mai ho jaungi majboor khudara aao,
Kuch bhi ab mere rasan bandhne mai taqeer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Raat bhar goad mai rakhugi qasam khaati hoon,
Is se majboor hun aye laal mere sheer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Koi gar poochta hai kyu hai andhera ghar mai,
Roke kehti hun meri Chaand si tasveer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Aaye hai paas Ali aur Nabi aur Zehra,
Sab hai turbat mai magar maaadare dilgeeer nahin
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Muh ko aata hai kaleja jo razi sunta hai,
Kon kehta hai tere nohe mai taseer nahin….
Bano kahtin thin mere goad mein Besheer nahin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *